Musafir Ki Namaz icon

1.0 by Pak Appz


Feb 19, 2023

About Musafir Ki Namaz

شرعی مسافر کی مسافت کیا ہے؟ مسافر کب ہوگا؟ وطن اقامت باطل ہونے کی صورتیں کیا ہے؟

شرعی مسافر کی مسافت کیا ہے؟ مسافر کب ہوگا؟ وطن اقامت باطل ہونے کی صورتیں کیا ہے؟ عرب ممالک میں ویزے پر رہنے والوں کا اہم مسئلہ

Pdf download and read online Musafir Ki Namaz written by Muhammad Illyas Atari a great islamic and informative book for every muslim. This book will give you the great information if you are in travel. This book is very helpful in pray if you are in travel. You can download more islamic apps and muslim apps in Urdu from Pak Appz.

Musafir Ki Namaz in Urdu

Musafir: Yah arabic word hai us ki meaning journey ya travel karne wala.

Muqeem: Yah bhi arabic word hai us ki meaning wah aadmi jo apne home ya city me ho.

Qasar: Yah bhi arabic word hai us ki meaning kam ya short hai, yahan us ka matlab 4 rakat wali farz namaz ko 2 rakat padhna.

In words ko explain is liye kiya gaya kyun ki yah words is article me baar baar aayen ge.

Islam ne jin cheezon me logon ko aaram aur sahuliyat diya hai un me se ek safar bhi hai, safar ki wajah se aadmi ko preshani aur mushaqqat ka samna karta hai, wah ek tarah se bahut majboor hota jata hai, ab agar musafir hone ki halat me us ke liye wahi orders hon jo muqueem hone ki halat me hote hain to aadmi ki diqqqat aur preshani zada ho jaye gi, is liye islam ne musafir logon ka khayal karte huye un ko bhi sahuliyat aur aasani diya hai un me se ek sahulat namaz bhi hai, safar ke duran musafir ko 4rakat wali farz namaz ko sirf 2 rakat padhne ka order hai, Quran pak me ek jagah aaya hai:

{وَإِذَا ضَرَبْتُمْ فِي الْأَرْضِ فَلَيْسَ عَلَيْكُمْ جُنَاحٌ أَنْ تَقْصُرُوا مِنَ الصَّلَاةِ} [النساء: 101]

Translation: Jab tum zameen me safar karo to tum par koyi haraj nahi ki tum namaz me kami kar dia karo. (Sure Nisa: 101)

Aadmi Musafir Kab Mana Jata Hai (Distance Of Travel)

Jab kisi ka 78 Km ya us se zada travel karne ka irada ho, aur wah apne gaon ya city se exit ho jaye to us ko musafir kahen ge for example: agar koyi aadmi jis ka gahr Delhi me ho, aur wah Aligarh jana chahta ho, to jaise hi wah Ghaziabad me entering kare ga wah musafir ho jaye ga.

Qasar Namaz Ki Starting

Musafir ban ne baad agar 15 days se kam rukne ka program ho to namaz me qasar zaruri hai hai yani Zohar, Asar, aur Isha ki namaz 2, 2 rakat padhe ga, aur Fajr aur Magrib ki namaz usi tarah padhe ga jaise apne ghar me padhta tha, 2 rakat aur 3 rakat, in dono me kuchh kami nahi ho gi, aur agar jamat se padh raha ho to imam ke sath sari namazen puri puri padhe ga. isi tarah agar 15 days se zada rukne ka plan ho tab bhi sari namaz puri puri padhe ga.

Qasar Namaz Ki Niyat, Qasar Namaz Ka Masla?

Jin Nmazon me qasar zaruri hai un me musafir only 2 rakat ki niyat kare, for example agar Zohar ki namaz qasar kar raha ho to dil se yah niyat kare ki :mai 2 rakar zohar ki qasar padh raha hun, safar ki wajah se yah maan liya jata hai ki musafir par 4 rakat wali farz namaz 2 rakat me change ho jati hai, yani ab musafir ke uper only 2 rakat hi farz hai, is liye musafir sirf 2 rakat ki niyat kare ga.

Safar Me Sunnat Aur Nafal Namaz

Safar me farz namazen to 4 rakat wali 2, 2 rakats hain, lekin sunnat aur nafal namaz ka dosra masla hai wah yah hai ki agar time ho for example: kisi jagah 2 ya 4 din thahra ho to puri puri padh le us ka sawaab mile ga, agar time na ho jaise plate form par ho ya train me ho to na padhe is me koyi gunaah nahi hai, matlab yah hai sunnat aur nafal musafir jab bhi padhe ga to puri puri padhe ga, is me qasar nahi hai.

Musafir Agar Jamat Se Namaz Padhe To Kya Hukm Hai?

Agar koyi musafir jamat se namaz padhe to agar musafir imam ho to wah 4 rakat wali namaz me only 2 rakat ki niyat kare, aur 2 rakat puri karke wah yah elaan kar de ki: mai musafir hun aap log apni baqi 2 rakat puri kar len.

aur agar musafir muqtadi ho yahi wah imam ke pichhe namaz padh raha ho to wah is surat me wah qasar nahi kare ga, balki 4 rakat ki niyat kare ga 2 rakat ki niyat nahi kare ga chahe wah aakhiri rakat me jamat me shamil hua ho.

Safar Me Sunnat Ka Wahi Hukm Hai Jo Muqeem Hone Ki Halat Me Hota Hai

What's New in the Latest Version 1.0

Last updated on Feb 19, 2023

Minor bug fixes and improvements. Install or update to the newest version to check it out!

Translation Loading...

Additional APP Information

Latest Version

Request Musafir Ki Namaz Update 1.0

Uploaded by

عبدالله نادر

Requires Android

Android 4.4+

Available on

Get Musafir Ki Namaz on Google Play

Show More

Musafir Ki Namaz Screenshots

Comment Loading...
Languages
Searching...
Subscribe to APKPure
Be the first to get access to the early release, news, and guides of the best Android games and apps.
No thanks
Sign Up
Subscribed Successfully!
You're now subscribed to APKPure.
Subscribe to APKPure
Be the first to get access to the early release, news, and guides of the best Android games and apps.
No thanks
Sign Up
Success!
You're now subscribed to our newsletter.